Topics

Dupatta Mein Joyen

Sawal   : walida sahibaa do mah se ajeeb marz ka shikaar hain. Pehlay kharish hui aur is ke baad aik din bohat ghabrahat hui. Kehti hain ke aisa mehsoos hua ke jaisay kisi ne jaye namaz agay se khech li. Mein ne mehsoos kya ke mein halki hoti ja rahi hon. Paiir thanday rehtay hain. Bohat dafaa kaho to namaz padti hain. Woh bhi aik sath do teen waqt ki namaz padti hain. Har cheez se khauf aata hai. Do teen doctoron ko dekhaya. X-ray karaye hain sab normal hain. Aik molana ko dekhaya hai woh kehte hain ke kisi ne safli amal kara diya hai. Chaar saal pehlay hamaray ghar se aik dupatta mein bohat saari joyen nikleen jo hum ne jala diya. Baraye meharbani mujhe bataiye ke yeh kya marz hai aur agar marz nahi hai to kya hai ?


Jawab  : safli wafli kuch nahi hai. Baat itni si hai ke aap ki walida ka dil kamzor ho gaya hai. E si jee kara lijiye aur qalb ke spishlst ki Hadayat par amal karen. Dr ke mashwaray se teen waqt 
shehad khayen. Shehad ke oopar teen baar

  

parh kar dam kar diya karen.


Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI