Topics

Problem


Sawal   : hum dono miyan biwi aapas mein rishta daar hain. Hamara pehla bacha hai, normal nahi hai woh apni Umar se bohat peechay hai. Nah hi baatein karta hai nah hi chalta hai sirf saharay se chal laita hai. Thori bohat baat bhi samajh laita hai. Dr ka kehna hai ke yeh normal kabhi nahi ho ga. Aap aapas mein cosuon hain ho sakta hai ke dosray bachay mein bhi aisi koi prablm ho. Bacha ko har waqt goad mein uthany se mere poooray poooray wujood mein dard rehne laga hai.


Jawab  : yeh zurori nahi hai ke aapas ki rishta daari mein bacha ab normal peda ho. Aap Allah ke oopar bharosa rakhen Insha Allah aindah bachay normal hunge. Waisay ahtiyatan dono miyan biwi apna khoon test kara len aur mujhe report bhaij den. Esha ki namaz ke baad 300 baar ya awwal ya aakhir ya zahir ya batin parh kar pani par dam kar ke dono miyan biwi pyin. Har jumaraat ko siwa paanch rupay khairaat kar den.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI