Topics

Udasi

Sawal   : Mein aik shadi shuda shakhs hon aur kkhuda ka shukar hai aaj taq mujhe koi gham ya fikar la-haq nahi hui. Is ke bawajood har waqt udaas aur be chain rehta hon. Vahm aur waswason ki yalghaar rehti hai. Be maqsad khayalat aur tasawurat mein dooba rehta hon. Dar aur khauf ke saaye zehan par mandlatay rehtay hain. Is zehni haalat ki wajah se sahet par itna bura assar para hai ke hadion ka dhancha ban gaya hon. Aap koi aisa tareeqa Talqeen farma den jis se mein is gehri daldal se bahar nikal aon.


Jawab  : Bilkul tanhai mein aik safaid kaghaz lijiye aur is kaghaz ke aik suray se dosray suray taq poooray kaghaz par zarb ka nishaan ( x ) banatay chalay jayen. Yahan taq ke kaghaz khatam ho jaye phir is kaghaz ko jala dijiye. Yeh aap ki shikayaat ka mukammal ilaaj hai. 41 din amal karen.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI