Topics

Jaadoo Ka Toar

Sawal   : mere larke ka accident hua to jummay ki subah ko aik bakra sadqa kar diya. Isi din jummay ki namaz parhnay ke liye mard bahar niklay to dekha ke sehan mein do momi theliyon mein chaar kalay bkron ke sir parre hue hain. Unhon ne utha kar bahar rakh diye. Lekin jab wapas aeye to dekha aik lifaafa phir andar para hua hai. Woh bohat daur ja kar pheink aeye. Raat ko darwaaza band kya to nahi they. Lekin subah jab darwaaza khoola to dono thelay mojood they. Is waqea ke baad se ghar ke sab afraad bohat jhagarte hain aur aik dosray se nafrat karte hain. Ghar ka aik fard bemaar hai. Ajeeb baat yeh hai ke har shakhs kisi nah kisi aisi bemari mein mubtala hai jis ka talluq sir ke dard se hai. Agar yeh jaadoo hai to is ka aasaan toar bitayen.


Jawab  : kor ya lobaan hawandasta mein pees kar aik dubba mein rakh len aur is ke oopar aik so gayarah martaba surah falaq parh kar dam karen aur yeh lobaan raat ko sotay waqt poooray ghar mein jalayen, Insha Allah ghar jaadoo ke asraat se mehfooz ho jaye ga. Jummay ke roz chaar Adad bkron ke sri paye pakka kar ghareebon ko khula den. Subah, shaam, raat ko aik aik baar surah falaq parh kar pani par dam kar ke saaray ghar walay pyin.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI