Topics

Androoni Marz

Sawal   : mein aik muqami college mein bi ae part one ki Taliba hon. Meri Umar bees saal hai. College mein mujhe khobsorat aur sahet mand larkiyan dekh kar rashk aata hai. Jismani tor par kaafi kamzor hon aur aaj kal kamzoree bohat ziyada hai. Yaqeen kijiyej ke second air ki chudiyon ke baad college mein meri saheliyo ne dekh kar herat ka izhaar kiya ke tumhe kya bemari ho gayi hai. Haath paiir foran sun ho jatay hain. Kaafi doctoron ko bhi dekhaya, kamzoree aur khoon ki kami batayi gayi. Un ki golian ( iron ki ) istemaal kar rahi hon magar afaqa nahi hai.


Jawab  : aap “likyorya”ki mariza hain. Ilaaj ke sath sath parhaiz zurori hai. Surkh mirch, anda, garam masalha, ziyada chaye istemaal nah karen. Lady dr ki bajaye yonani ilaaj karayen. Raat ko 100 baar Ya hafeezo parh kar green rang roshni ka muraqba karen. Ghar mein barri borhoon se keh kar gond tayyar karayen aur subah nashta mein khayen. Un se kahin ke gond mein maghziyat shaamil nah karen.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI