Topics

Sotay Mein Pishaab Nikal Jata Hai

Sawal   : mere tamam chhootey bhai behan raat ko jab sotay hain to sonay ke do ghanta ke baad bistar par pishaab kar dete hain. Taajjub ki baat yeh hai ke woh sonay se pehlay pishaab kar ke sotay hain phir bhi bistar par pishaab kar dete hain. Itni gehri neend sotay hain ke agar inhen pishaab karne ke liye uthaya bhi jaye to woh uth nahi satke. Pishaab ki miqdaar kabhi kam, kabhi ziyada hoti hai. Mere walidain ne har qisam ka doctori, hakeemi aur homyo pithi ka ilaaj karwaya magar faida nahi hua.


Jawab  : aap ke bhai aur behan raat ko jab gehri neend so jayen un ke qareeb sarahnay ki taraf kharray ho kar aik martaba surah baqra ki aayat alum se yuminoon bil ghaib taq parh kar suna diya karen. Itni aawaz se ke neend kharab nah ho. Yeh amal 21 roz taq kar lijiye. Insha Allah faida ho ga.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI