Topics

Shakki Shohar

Sawal   : meri shadi ko gayarah saal ho gaye hain. Shadi ke pehlay din se le kar aaj taq mere miyan mujh par shak karte hain. Baat baat par jhagarte hain. Kabhi pyar se koi baat nahi ki. Mein un ko kitna hi khush karna chahti hon lekin woh ziyada khafa ho jatay hain. Inhen ghair aurtain bohat achi lagti hain. Aik rishta daar aurat ke samnay meri be hadd be izzati karte hain. Aap koi wazifa bta den taa ke mere shohar mere sath mohabbat se rahen aur is aurat ka khayaal dil se nikaal den.


Jawab  : sab kamon se farigh honay ke baad raat ko sonay se pehlay 41 martaba surah Fatiha parh kar baat kiye baghair bistar par chali jayen.
Ankhen band kar ke apne shohar ka tasawwur karen aur tasawwur karte karte so jayen. Jab aap ke shohar ka dil ghair aurat ki taraf se hatt jaye to is amal ko tark kar den.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI