Topics

Khoon Ki Boond

Sawal   : aisay halaat se guzar rahi hon ke dimagh soch soch kar maoof ho gaya hai is pareshani ka silsila is terhan shuru hua ke barray larke ki shadi ke theek 5 mah baad mein ne aik din braamde mein khoon ki aik boond dekhi jisay nazar andaaz kar diya. Do teen roz guzarnay ke baad phir braamde mein taaza taaza khoon dekha aur is ke baad yeh silsila mustaqil tor par shuru ho gaya aur ab braamde ki bajaye yeh khoon sehan mein girnay laga. Khayaal aaya ke chhat par se kisi janwar ka khoon gira ho ga. Mein ne kisi se is ka tazkara nahi kya ke ghar walay khamkhuwa pareshani mein mubtala ho jayen ge. Meri baho ne mujhe bataya ke mein bohat dinon se khoon dekh rahi hon. Bachon se kaha to unhon ne hum dono ka khoob mazaq uraya. Aik din hum sab baithy baatein kar rahay they ke din ke waqt khoon ki aik boond giri aur itni zor se aawaz aayi ke hum sab dar gay. Khwaja sahib hamari rahnumai karen ke yeh sab kya hai. Kkhuda jaanta hai ke mein ne kabhi kisi ke sath buraiee nahi ki jis terhan mumkin hota hai logon ke kaam aati hon. Jab se yeh silsila shuru hua hai hamaray halaat rozbroz kharab hotay chalay gay aur ab hum nihayat museebat aur pareshani mein zindagi busr kar rahay hain.


Jawab  : log is terhan jaadoo karte hain aur jaadoo ke zair assar kamon mein kharabian peda hoti hain. Subah, shaam aur raat aik aik baar surah falaq aur surah al naas parh kar pani par dam karen. Ikees roz taq pyin.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI