Topics

Hassad

Sawal   : hum sab apne behnoi ki wajah se bohat pareshan hain. Unhon ne hum sab ka jeena haraam kar diya hai. Jhoot bolna aur gheebat karna un ki adaten hain. Bohat ganday rehtay hain. Maikay aur sasural mein har kisi se un ki larai rehti hai. Bdnzr bhi hain. Bohat fuzool kharch aur bad andaish aadmi hain. Haasid bhi hain, karzzzz le kar kabhi wapas nahi karte. Wapas manga jaye to larnay lagtay hain. Khudaaraa aap mujhe parhnay ke liye koi aisa wazifa bitayen jis se hamaray behnoi raah raast par aa jayen.


Jawab  : Allah taala ne syedna huzoor aleh salato    valslam se farmaya hai ke tumhe Darogha bana kar nahi bheja gaya. Aap bhi khuwa makhuwa behnoi ki islaah ka bera nah uthayen. Apni tavajja apni islaah ki taraf mabzol karen. Behnoi khud apne aamaal ke zimma daar hain. Albata un ki begum agar apne shohar ki islaah karna chahti hain to woh raat ko sotay waqt awwal aakhir gayarah gayarah baar duroood shareef ke sath 41 martaba surah ikhlaas parh kar baat kiye baghair bistar mein chali jayen aur apne shohar کاتصور karte karte so jayen...... Is amal ki muddat nawway din hai. Nagha ke din shumaar kar ke baad mein poooray kar len.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI