Topics

Aulaad Narina

Sawal   : Ab mein phir umeed se hon. Aap mujhe koi wazifa batlaein ke kkhuda mujhe larka ataa farmaiye. Aap ko kkhuda hamesha khush rakhay. Mere shohar waisay to mujh se bohat acha sulooq karte hain lekin kabhi kabhi nah janey un ko kya ho jata hai ke Talaq taq nobat aa jati hai, bohat ghusse ke maalik hain halaank mein bohat sabr se kaam layte hon. Aap is ke liye bhi koi wazifa batlaein ke mere shohar gussa nah kya karen. Woh pehlay bhi chaar shadian kar chuke hain. Mein chahti hon ke ab woh kabhi doosri aurat ki taraf mael nah hon.


Jawab  : Zahar ki namaz ke baad aik martaba surah maryam parh kar pani par dam kar ke pi liya karen aur dam kya hua pani apne shohar ko bhi pila diya karen. Allah ke fazl o karam se aap ki dono muradain poori ho jayen gi.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI