Topics

Daant Peesna

Sawal   : arz hai ke kaafi arsa se mujh ko khawab ki haalat mein daant chabanay ki yani daant peesnay ki aadat hai. Mein is aadat ko chorney ki kayi shaori aur la shaori trkibin aazma chuka hon. Lekin kamyabi naseeb nahi hoti. Log kehte hain ke jis ke dushman ziyada hon wohi log daant peestey hain. Barah karam is aadat ko chorney ki tarkeeb batla kar ahsaan azeem farmaen.


Jawab  : jab aap raat ko gehri neend so jayen ghar ke koi sahib aap ke sarahnay kharray ho kar itni aawaz se ke neend mein khlal waqay nah ho. Aik martaba surah maryam ki pehli ayaat کھیعص ( kaaf ha ya ain Sad ) parh diya karen. Is ilaaj ki muddat ikees roz hai.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI