Topics

Chamghadar

Sawal   : mein aaj se dhai saal pehlay India gayi wahan hamaray khalu ka intqaal ho gaya. Woh bemaar they aur marnay se chaar paanch din pehlay inhen chamghadar se bohat khauf aata tha. Is din se mujh par har waqt khauf musallat rehta hai. Aur mein pareshan rehti hon. Aisa lagta hai ke aglay lamhay mar jaoon gi. Jab bhi kahin qabrustan ya koi gaari dekhatii hon to khayaal aata hai ke mein marnay wali hon. Avrmira janaza isi gaari mein jaye ga. Har waqt faut shuda logon ka khayaal rehta hai ke jis terhan woh shakhs mra tha mein bhi isi terhan mar jaoon gi. Mein sara sara din pareshan rehti hon aur neend bhi theek terhan se nahi aati. Bohat dubli ho gayi hon aur zehan ne kaam karna chore diya hai.


Jawab  : din raat mein ziyada waqt andheray mein guzariye yani neend ke dorania ke ilawa bhi jis jagah rhye wahan andhera hona chahiye. Hatta al amkan is baat ki koshish kijiyej. Kisi zaroorat se roshni mein jana par jaye to koi harj nahi. Andheray mein jitna ziyada ho sakay ya hi ya qayum ka vird karen. Insha Allah pandrah din mein zehan khauf aur mout ke ehsas se nijaat haasil kar le ga. Agar ghiza mein namak ka istemaal kam kar diya jaye to bohat jald assar ho ga.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI