Topics

Umm Subyan

Sawal   : masla meri behan ka hai. Barri behan ki shadi mamu ke larke se hui hai. Pehla beta jo shadi ke 9 mahinay baad hua tha. Taqreeban 9 mahinay zindah raha. Is arsa mein nah is ki gardan snbhli thi aur nah hi woh normal bachon ki terhan mutwajjah hota tha. Balkay oopar daikhta rehta tha. Meri behan aur behnoi ne duniya Jahan ke doctoron ko dekhaya sab ne yahi kaha ke bacha bilkul theek hai. Is ke baad baji ki doosri beti bilkul theek hai. Magar ab un ki teesri beti jo ab aik saal ki honay wali hai is ke sath phir wohi betay wala masla hai ke nah to woh mutwajjah hoti hai aur nah is ki gardan bachon ki terhan hai aur tamam dr kehte hain ke yeh bilkul normal hai magar sust hai aur har kaam deray se kere gi. Magar Azeemi Sahib! Baaz auqaat woh bohat roti hai aur saans khech kar aik dam sakht aur niilii ho jati hai. Dr hazraat usay fits ( fits ) ki dawa dete hain.

 

Jawab  : gilaay mein umm subyan ka taveez daal den. Umm subyan ka taveez yeh hai

roghan surnjan talkh, bachay ki kamar mein poori reerh ki haddi par aahista aahista dairon mein maalish karen. Niilii shu-aon ka tail gardan ke poooray joor par dairon par maalish karen. Maalish dhoop mein luta kar ki jaye. Paseena anay par bacha ko kapray ya kambal mein lapait den taa ke hua nah lagey. Subah shaam shehad chatanien shehad ke oopar aik martaba surah Fatiha parh kar dam kar diya karen. Baar baar bacha ka sadqa den.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI