Topics

Jaadoo Ka Toar

Sawal   : mere aik Aziz ko din mein kayi dafaa aisa mehsoos hota hai jaisay is ki tangon, peeron aur kamar par keeray ring rahay hon. Badan mein soyyan chubhti mehsoos hoti hain. Woh is bemari se nijaat haasil karne ke liye har mumkin tadbeer kar chuke hain. Aaj kal taveez bhi pehnay hue hain aur vzayf bhi parhte hain. Koi aisa ilaaj tajweez frmayye jis se inhen mustaqil aaraam aa jaye.


Jawab  : apne Aziz se kahin ke subah bohat saweray uth kar Fajar ki namaz parheen aur surah falaq parhte parhte kashti mein sawaar ho kar aik saahil se dosray saahil taq darya paar kar len. Douran safar baat karna mana hai. Darya paar karne ke baad pani ke kinare mashriq ki taraf mun kar ke akrhon baith jayen aur angisht shahadat se Haman , harwat, Maruat likh kar haath se mita den. Likhnay aur mitanay ka yeh amal har haal mein Sooraj niklny se pehlay kya jaye. Agar yeh nah ho sakay to abadi ke bahar kunwein ke pani mein apna chehray ka aks dekha ja sakta hai.
Karachi mein rehne walay koi sahib agar is kefiyat mein mubtala hon to woh kimarhi se kashti mein baith kar manora taq safar kar satke hain aur wahan saahil samandar par amal kar satke hain. Ali haza al-qayas Lahore mein dareaye Ravi ke aik kinare se dosray kinare taq aur dosray daryaaon ke qareeb rehne walay hazraat darya ke aik kinare se dosray kinare taq safar kar ke yeh amal kar satke hain. Khuda na khwasta agar kisi ke oopar jaadoo ya sehar ka assar ho gaya hai to woh bhi is amal se khatam ho jata hai. Is amal ke liye paishgi ijazat lainay ki zaroorat nahi hai. Har shakhs ko khuli ijazat hai. Allah taala hum sab ka haami aur madadgaar hai.



Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI