Topics

Rooh Se Mulaqaat

Sawal   : 10 mahinay hue ke 36 ya  37 saal ki aurat se meri shadi ho gayi. Woh pehlay bhi do jagah shadi kar chuki hai magar har do jagah se Talaq hui. Mere ghar aa kar usay doray parney lagey to zameen par lotney lagi ke mein nahi rehti. Mein Shah Aqeeq ke mazaar par jaoon gi. Mein usay mazaar par le gaya. Paanch mahinay se musalsal wahein par hai. Is ka kehna hai ke mojooda ghar nahi jaoon gi. Is par kisi ne taveez gundha kar diya hai. Mein jab is ghar mein jati hon to mera dil chahta hai ke kapray phaar dun aur kahin bahar chali jaoon. Pehli dafaa ke baad bhi woh yahi sab kuch kar chuki hai. Ghar mein kayi dafaa kapray phaar diye hain. Usay lohay ki zanjeer se bandh diya gaya. Phir taveez gndon se theek ho gayi. Jab se mera nikah hua hai mein tangdast rehne laga hon. Chand logon ka kehna hai ke tum is aurat ke sath pareshan raho ge jabkay mujhe apni biwi se bohat mohabbat hai aur mein is ke baghair ghar mein ghamgeen rehta hon. Woh bhi kehti hai ke tum mujhe Talaq mat do tum bhi barbaad ho jao ge aur mein bhi barbaad ho jaoon gi. Mein ghar mein rehne ke liye kehta hon to ronay lagti hai.


Jawab  : aap Shah Aqeeq ke mazaar par chalay jayen. Wahan kuch din qiyam karen aur kasrat se duroood shareef parhte rahen. Rozana Fajar aur esha ki namaz ke baad mazaar ke seedhi taraf baith kar muraqba karen. Muraqba mein yaksoi ke baad jab Shah Aqeeq ki rooh se mulaqaat ho to un se dua ki darkhwast karen. Insha Allah yeh masla Ahsen tareeqa se hal ho jaye ga.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI