Topics

Seep Ki Potli

Sawal   : taqreeban dhai mah pehlay mere haath par chand danay niklay jo baad mein barh kar saaray jism par phail gay. Shuru mein to yeh danay garmi daano ki terhan hotay hain lekin baad mein phail kar bohat barray ho jatay hain aur kharish bhi bohat hoti hai. Dhai mah se is ka ilaaj karwa rahi hon lekin puranay danay theek honay ke aik do din baad itnay hi danay mazeed nikal atay hain aur un ke daagh bhi reh jatay hain. Jo dr ki batayi hui krimon se kuch to daur ho jatay hain lekin naye danay phir woh masla peda kar dete hain. Yeh silsila musalsal chal raha hai ab to mein sakht pareshan ho gayi hon. Aap se iltamas hai ke koi aisa ilaaj bitayen jo mujhe is marz se mukammal nijaat dilay.


Jawab  : aadha pao samandari seep le kar taiz garam pani se dho len. Phir inhen khushk kar ke hawan dasta mein mota mota coat len. Kute hui seep ke barray barray tukre kapray ki potli mein bandh kar kisi barray bartan mein pani bhar kar is mein daal den aur pani ko khoob achi terhan ubaal len. Peenay aur khanay pakanay ki tamam zaroorat ke liye yeh pani istemaal karen. Stin lais stil ya matti ke bartan mein chobees ghantay ke baad naya pani pakaya jaye taa hum seep ki aik potli chodan din taq istemaal ki jaye. Ilaaj ki muddat seep ki chaar potliyon ke mukammal istemaal taq hai. Ilaaj ke douran laal mirch aur garam cheezon se parhaiz kya jaye. Daano aur sookhi kharish se nijaat mil jaye gi.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI