Spiritual Healing
Sawal : meri walida arsa paanch saal se sakht bemaar
hain har barray dr aur hakeem se ilaaj karaya lekin koi faida nahi sun-hwa. Bohat
mehngi mehngi duwaein khayen lekin nateeja sifar raha. Walida ki pasliyon,
seedhi taang aur tangon ke joor mein dard rehta hai. Mukhtalif doctoron ne
mukhtalif bemariyan batlaein hain kisi ne jigar par waram, kisi ne gurdon mein
pathri, kisi ne hadion mein waram kisi ne haddiyan bherne ka khadsha bataya
hai, kisi ne kaha ke pishaab mein peep aati hai. X-ray kurwaye bohat paisa
kharch hua lekin ab bhi wohi haalat hai. Sotay hue karvat nahi le sakteen. Das minute
ka rasta adhay ghantay mein tey karti hain. Bhook nahi lagti, rukhsaar aur hont
siyah par gay hain. Amel kehte hain ke kisi ne jaadoo karaya hai.
Jawab : Butter paper ke chhootey chhootey chokor kaaghzon par ( surah yaseen ki aakhri aayat se pehli aayat )
بسم اللہ الرحمٰن الرحیم
اِنَّمآ اَمْرُہ اِنَآ اَرَادَ شَیْأٍء اَنْ یَقُوْلُ لَہٗ کُنْ فَیَکُوْنُo
piyali pani mein bigho den. Kuch der ke baad kaghaz dho kar subah
nehar mun aur isi terhan shaam ko raat ko dho kar pila den. Raat ko walida jab
gehri neend so jayen un ke sarahnay khari ho kar aik baar surah falaq poori
surah parh diya karen. Itni aawaz se ke neend kharab nah ho. Ilaaj ki muddat
chalees roz hai.