Spiritual Healing
Sawal : mera chhota bhai jis ki
Umar taqreeban 25 saal hai. Aaj se 5? Saal pehlay usay tie fayid hua tha. Tie fayid
se pehlay is ki yeh haalat thi ke safai ke liye teen teen martaba haath dhota
tha lekin phir bhi is ko safai ka yaqeen nahi aata tha. Tie fayid ke baad
haalat yeh ho gayi hai ke agar haath dhoney baithta hai to kehta hai null
kaisay band karoon. Agar koi samajhata hai to kehta hai ke tum ne darmain mein
kyun dakhal diya. Lehaza mein haath dobarah pak karoon ga. Is terhan sirf haath
dhoney mein 15 minute lag jatay hain. Agar beeet al khala mein jaye to kam az
kam aik ghantay se pehlay bahar nahi nikalta. Agar bahar jana ho to kehta hai
ke gate se bahar kaisay niklon ga. Ruk ruk kar kaafi der baad bahar nikalta hai.
Agar koi cheez rakhnay ko ya uthany ke liye kaha jaye to kehta hai kaisay
rakhon ya kaisay uthaoun. Kabhi yeh kehta hai ke acha mein dil mazboot kar ke utha
leta hoon ya phir kehta hai ke nahi uthata khud utha lau, ammi is ko samajhtee
hain to kabhi maan jata hai aur kabhi kehta hai ke kya karoon mein jaldi kaam
karna chahta hon lekin hota nahi agar ammi is ki baton se naraaz ho jayen. To ronay
lagta hai aur kehta hai ke ammi mein kya karoon karna chahtahon lekin hota nahi
hai.
Jawab : ghar mein Sooraj makhi ka
poda laga len. Maali se kahin ke bara poda muntaqil kar day. Subah Sooraj
niklny se pehlay bhai ko Sooraj makhi ke samnay bitha den aur is se kahin ke
phool ki taraf daikhta rahay. Do ghantay taq yeh amal jari rakhay. Yeh koi
pabandi nahi ke kursi ya charpayee par baithy, jaisay bhi aaraam miley woh do
ghantay taq baith kar phool ko daikhta rahay. Ilaaj ki muddat do mah das din
hai.