Spiritual Healing

Shohar Shakal Nahi Daikhta

Sawal   : mein aik shadi shuda aurat hon aur kayi bachon ki maa hon. Ibtidayi saloon mein shohar ne mujhe bharpoor pyar diya. Meri asayish o aaraam ka har terhan se khayaal rakha. Lekin ab un ki tavajja mujh se htti ja rahi hai. Aisa lagta hai ke woh meri soorat taq dekhna gawara nahi karte. Raton ko der se ghar aana un ka mamool ban gaya hai. Ghar ke kisi muamlay mein woh dilchaspi nahi letay. Kisi bemaar ke ilaaj se gharz hai nah bachon ki taleem o tarbiyat se dilchaspi. Aakhir is ravayye ki kya wajah hai ?


Jawab  : gharelo sukoon ke liye zurori hai ke miyan biwi mein zehni hum ahangi ho. Jis terhan biwi shohar se iltifaat chahti hai is terhan shohar bhi chahta hai ke shareek hayaat is ki fitri zaroriat ka khayaal rakhay. Yeh durust hai ke bachay ho jany ke baad aurat khawand ki nisbat bachon ke sath ziyada waqt guzaarne par majaboor hai. Bachon ki nighdasht aur dekh bhaal mein is ki sahet kisi nah kisi hadd taq mutasir hoti hai. Is ke andar woh walwalah aur josh bhi nahi rehta jis ki khawand tawaqqa karta hai. Lekin har zaheen biwi shohar aur bachon ke sath zindagi guzaarne mein tawazun barqarar rakhti hai. Khat ka tajzia yeh zahir karta hai ke aap ne apni saari tavajja bachon par markooz kar di hai aur aap ke shohar aap ke is tarz amal ko napasand karte hain. Mera mahswara hai ke aap shohar ke haqooq ka bhi khayaal rakhen. Baat be baat par larna jhagarna aur inhen baar baar is baat ka ehsas dilana ke woh aap mein aur bachon mein dilchaspi nahi letay. Sahih tarz amal nahi hai. Shohar ke haqooq poooray karen aur un ki zehni, jismani zaroraton ka poora poora khayaal rakhen.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI