Spiritual Healing

Shadi

Sawal   : janab aliiiii! Aap ne jo wazifa mujhe tehreer farmaya tha o hay meri naaqis aqal mein nahi aa raha hai ke kisi terhan parhon, mujhe aap ko dobarah takleef dena par rahi hai. Aap ne tehreer farmaya tha ke har namaz ke baad aik tasbeeh duroood shareef ke sath 66martaba “Allah” ka vird kar ke dua karen. Is mein aik tasbeeh se kitni martaba morad hai. Kya so martaba ya is se kam ya ziyada. Doosri baat yeh hai ke duroood shareef ke sath 66 martaba “Allah” ka vird kis terhan kya jaye yani aik martaba duroood shareef parhnay ke baad 66martaba  vird phir aik martaba duroood shareef aur phir 66bar  vird ki gardaan karen ya duroood shareef ki tasbeeh ( muqarara miqdaar ) parh kar aakhir mein 66martaba  Allah ka vird kar ke dua mangeen. Hum jo namaz mein duroood shareef parhte hain wohi duroood shareef parheen ya koi aur makhsoos duroood shareef parhna ho ga. “shadi mein rukawat”ka yeh wazifa jo ke larka larki ya phir walidain ke parhnay ke liye hai. Kya mein apni nand ke liye wazifa parh sakti hon kyunkay meri paanch nandein hain jin mein se sirf aik ka nikah hua baqi sab ki umrein ziyada ho gayi hain.


Jawab  : aap apni nand ke liye wazifa parh sakti hain “Allah” 66martaba  is terhan parheen ke har baar Allah ke sath duroood shareef parheen. Yani duroood shareef bhi 66martaba  parha jaye. 66bar Allah ka vird karne ke baad mazeed 24 martaba duroood shareef parh kar dua mangi jaye. Namaz wala duroood shareef parha ja sakta hai.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI