Spiritual Healing
Sawal : mein bohat haasid hon aur mere andar hawas
bohat ziyada hai, lehjey mein taizi aur talkhi hai aur sab se barri buraiee yeh
hai ke mein bohat ouncha bolti hon. Barron aur choton ka lehaaz bilkul nahi
karti. Mein ne grijoyshn kya hai aur ab kuch arsa ke baad shadi honay wali hai,
sochti hon dosray ghar mein kis terhan guzara ho ga. Plzzzz kkhuda ke liye aap
mujhe koi mahswara den. Namaz pabandi se padti hon aur quran bhi padti hon. Namaz
aur quran parhte hue duniya jahan ke khayaal dil mein atay hain aur yeh bhool
jati hon ke kya parh rahi thi. Yahi haal urdu aur english ki reading ka hai. Samnay
likhi hui cheez nazar aa rahi hai magar dimagh kahin rehta hai kuch ka kuch
parh deti hon. Koi yaqeen nahi karta ke parhi likhi hon, jhoot bohat bolti hon,
gheebat suneney aur dosaron ki gheebat karne mein bohat maza aata hai. Dosaron ko
pareshan kar ke mujhe taskeen millti hai. Aankhon mein ansoo dekh kar khush
hoti hon. Mujhe aap ke mashwaray ki ashad zaroorat hai taa ke mein is praml kar
ke shadi ke baad ki zindagi bohat tareeqa se guzaar sakun. Mein ne apne rawayya
ke baray mein jaissa likha hai is se aap khud andaza kar len ke dosray ghar
mein mera guzara bohat mushkil hai.
Jawab : masha Allah aap musalman
hain. Huzoor pak s.a.w ki seerat tayaba s.a.w ka mutalea karen. Din bhar kasrat
se ya hi ya qayum parheen. Raat ko 100 baar duroood shareef parh kar rasoolallah
s.a.w ke roza Aqes ka tasawwur kar ke
muraqba kya karen. Bachon mein ziyada dilchaspi len. Ghar mein jagah ki
munasbat se phool ya koi bail lagayen aur pabandi waqt ke sath un Gul booton ko
pani den. Surah falaq ka tarjuma zabani yaad kar len.