Spiritual Healing

Paseena Aana

Sawal   : pedaishi tor par mere haath, peeron aur baghlon mein be hadd paseena aata hai yun samajh len ke jism par se pani ke qatray tpkte rehtay hain. Likhnay parhnay ka koi kaam karne mein bohat dushwari paish aati hai. Kaghaz ya gatta haath ke neechay rakh kar likhna parta hai. Garmiyon mein pandrah bees minute mein poora romal tar ho jata hai. Is ke bar aks sardiyoon mein paseena kam aata hai. Mualij kehte hain ke is ka koi ilaaj nahi hai kyunkay aap ki gardan ke paas jo ghudood hain woh bohat hassas hain. Isi liye ziyada paseena aata hai. Mein ne aur bhi hassas logon ko dekha hai. Inhen paseena is terhan nahi aata. Is waqt meri Umar 26 saal hai. Hathon mein paseena nahi aata to is waqt hathelion mein be hadd tapish hoti hai. Aksar log jab mujh se haath milatay hain to kehte hain kya tumhe bukhaar hai jabkay mein bilkul normal hota hon. Meri is bemari ka Shafi ilaaj bitayen.


Jawab  : aap jab bhi pani pyin yeh amal parh kar dam kar len
.

 

بسم اللّٰہ الرحمٰن الرحیم

یَا حَفِیْظُ یَا حَفِیْظُ یَا حَفِیْظُ

یَا وَدُوْدُ یَا وَدُوْدُ یَا وَدُوْدُ

یَا بَدِیْعُ یَا بَدِیْعُ یَا بَدِیْعُ

یَا بَدِیْعَ الْعَجَاءِبِ بِالْخَیْرِ یَا بَدِیْعُ

is ke ilawa 90 din taq namak, mirch, gosht, anda, garam masalha waghera se bilkul parhaiz karen.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI