Spiritual Healing
Sawal : mein aik taleem Yafta
larki hon aur service bhi karti hon. Masla yeh hai ke mere kisi kaam mein
kashish nahi hai. Writing bhi itni kharab hai ke mujhe khud sharam aati hai. Aksar
mera mazaq urta hai is ke ilawa meri banai, silai mein khuwa mein kitni hi
mehnat se karoon. Koi khobsorat nahi hoti. Meri shakhsiyat mein bhi koi kashish
nahi hai. Un masail ka hal bta kar mashkoor farmaen.
Jawab : aap ki tehreer ka tajzia
karne par lashavr ne is baat ki taraf rahnumai ki hai ke aap ehsas kamtarri ke
shikaar hain. Aap ke andar salahiyaten to mojood hain lekin woh ehsas kamtarri
ke dhair mein dubi hui hain. Ehsas kamtarri ne aap ki shakhsiyat ko madham kar
diya hai.
Aap apne zehan se yeh baat nikaal den ke aap ke andar kashish nahi hai aur aap
ka koi kaam namukammal hai. Salahiyaton ko mutharrak karne ke liye raat ko
sonay se pehlay pusht ke bil late kar yeh jumlay dil hi dil mein dohrayen. Meri
salahiyaten jaag rahi hain aur mere andar kashish roz burrows barh rahi hai. Aik
mah baad aap ki jumla pareshaniyon ka tadaruk ho jaye ga. Insha Allah.