Spiritual Healing
Sawal : mein apne aap se baatein
karta rehta hon. Un baton mein kabhi kisi dosray farzi mukhatib se khitaab
karta hon aur kabhi apna mukhatib khud hota hon. Baatein karte hue mahol ki
khabar nahi rehti aur baad mein jab apni is harkat ki taraf khayaal jata hai to
gussa aur jhunjlahat mein khud ko malamat karta hon. Har waqt apne aap ko yeh
samajhata rehta hon ke mujhe apne aap se baatein nahi karni chahiye aur yeh
pagal pan hai waghera waghera. Khud ko samgha kar itminan haasil ho jata hai
lekin kuch der baad guftagu ka silsila dobarah shuru ho jata hai.
Jawab : subah saweray aik aaiine
ke samnay baith jayen jis mein aap apne saraapaa ko kam az kam seenay taq
zaroor dekh saken. Ab aaiine mein apne aks ko mukhatib kar ke guftagu shuru kar
dijiye. Qareeban pandrah minute taq aap apne aks se koi farzi ya jo bhi dil
mein aeye baatein karte rahen. Is ke baad uth kar roz marrah ke kamon mein
mashgool ho jayen. Pandrah din mein aap khud kalami ki mushkil se nijaat pa len
ge. Yeh ilaaj parasycology ke aik usool ki
bunyaad par Talqeen kya ja raha hai.