Spiritual Healing

Khud Gharzi

Sawal   : meri barri behan ki Umar 14یا 15 saal thi aur naveen jamaat mein parh rahi theen. Unhon ne aik baar shikayat ki ke peechay darakhton se aawazian aati hain phir woh barri par asaraar awazon ka zikar karne lagen. Aik roz waalid ko bataya ke qareebi dukanon par baithy hue log usay gaaliyan day rahay they. Is baat ka yaqeen is liye nahi aaya ke hamaray muhallay ke dukan dar bohat shareef hain. Walidain ne behan ki yeh baat sun kar usay ghar mein bitha liya. Is waqt ke baad meri behan par kayi daur aeye. Bemari ne kayi naye roop ikhtiyar kiye.
Yeh to mein aap ko batata bhool hi gayi ke is waqt se pehlay meri behan nihayat hayadaar, tamezdaar khamosh tabiyat aur samajh daar mashhoor thi. Khandan mein is ki misalein di jati theen. Pehlay usay vahm hua ke sab ghar walay is ke dushman hain aur usay bura bhala kehte hain. Aik baar is ne meri ammi aur abba ke naye silay hue kapray is terhan kaat diye ke woh dobarah pahannay ke qabil nah rahay. Phir aahista aahista is ki harkato ki wajah se maar pait bhi karna pari. Har qisam ke ilaaj kiye gay. Dr, hakeem, paiir faqeer koi nah chorra lekin kuch nah bana. Aik baar chand dinon ke liye dimaghi amraaz ke hospital mein daakhil karana para.

Phir chand baras ke baad kuch arsa aisa aaya jab woh bilkul to nahi kaafi hadd taq normal ho gayeen lekin kisi kisi waqt un ke mun se aisi baat nikal jati hai ke hum sab sharminda ho jatay hain. Is arsay mein walidain is ke liye rishte ki koshishen bhi karte rahay lekin yeh kaam aasaan nah tha kyunkay un ki tawaquaat bohat ziyada theen aur woh apne se kamtar rishte ka tasawwur bhi nahi kar sakti theen. Aakhir-kaar aik parhay likhay aur khush shakal aur munasib mulazmat walay larke ne sab halaat jantay hue bhi apni chahat se rishta talab kya. Kaafi tawaquf ke baad aur behan ki razamandi se un ka nikah kar diya gaya lekin baaz maslehton ki binaa par rukhsati nah ki gayi. Larka hamaray ghar anay jaane laga baad mein kisi ghalat fehmi ki wajah se behan apne shohar ke khilaaf ho gayi aur is ki soorat se nafrat karne lagen. Is larke ke behnoi aur mere walidain ne bharpoor koshish ki ke kisi terhan se meri behan raazi ho jaye lekin koi nateeja nahi nikla. Aakhir-kaar rishta toot gaya jis se mere maa baap ko sakht sadma pouncha. Is baat ka mein zikar zaroor karoon gi ke behan ka nikah bohat shaan o Shaukat se kya gaya tha taa ke woh khush ho jaye aur is liye bhi ke woh mere maa baap ki sab se barri aulaad thi.
Mera bhai aur mein jo behan se chhootey hain is waqt taq shadi ki Umar ko poanch chuke they lekin maa baap meri behan se pehlay hamari shadian nahi karna chahtay they taa ke woh mehsoos nah karen. Ab jabkay un ko Talaq ho gayi hai aur doosri jagah shadi ka imkaan nahi raha to unhon ne hum dono bhai behan ki shadi kar di.

Hum dono se aur khasosan mujh se woh bohat hasad karti hain. Walidain ki koshish hamesha se yeh rahi hai ke mujh se behtar un se sulooq kya jaye taa ke woh mehsoos nah karen lekin woh mujhe mere miyan aur bachon ko bohat bura samjhti hain halaank hum log un se bohat mohabbat karte hain lekin woh hamari shakalain bhi dekhna pasand nahi kartin.

Ab teen chaar saloon se un ki haalat bigarti ja rahi hai. Pehlay woh kuch azeezon, rishta daaron ko pasand karti theen aur kuch ko nahi lekin ab kisi se bhi milna aur baat karna pasand nahi kartin. Pehlay apne libaas ka khayaal rakhti theen aur fashion ke mutabiq malbos hoti theen. Ab bhi woh samjhti hain ke mera libaas make up fashion ke mutabiq hai lekin haqeeqat mein aisa nahi hai. Bemari ke douran un ki aik salahiyat ne bohat jala payi hai. Inhen painting ka shoq hua aur Pakistan ke aik naamwar musawir se unhon ne tarbiyat haasil ki. Arts council mein bohat arsa taq jati rahen aur is maidan mein bohat naam paaya hai. Pakistan ke barray barray shehron mein un ki banai hui tasweeron ki numaish bhi ki gayi. Aik baat yeh hai ke kehnay ko to bemaar hain lekin be hadd khud gharz ho gayi hain. Apne khanay aur apne aaraam o asayish ka poora khayaal rakhti hain aur har waqt apne haqooq ke liye lardte rehti hain. Walidain bhi yahi chahtay hain ke is se barabari se barh kar sulooq ho lekin woh hamesha yahi samjhti hain ke un ke sath zayad-ti ki ja rahi hai. Un ke is tarz amal aur har waqt ke larai jhagrre ne poooray ghar ka sukoon barbaad kar diya hai.


Jawab  : aap ki behan nafsiati mariza hain. Ilaaj yeh hai. Un ke balai jism ka aik barray se bara photo banava kar subah Sadiq ke waqt is photo par pencil se dairay banaye jayen aur dairay is terhan se banaye jayen ke sir aur seenah dairon ke andar aa jaye. Daira ke oopar daira aeye to koi harj nahi hai. Pencil ka sikka nah to ziyada sakht ho aur nah ziyada naram ho kyunkay sakht ho ga to photo par kharashein par jayen ge aur naram ho ga to pencil toot jaye gi aur is terhan amal mein khlal waqay ho jaye ga. Amal ki muddat rozana pandrah minute, chalees roz hai.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI