Spiritual Healing
Sawal : baat karte hue khud bakhud mun bhinch laita
hon. Bohat koshish karta hon magar is harkat se nijaat nahi millti. Koi kaam
karte waqt ya khaali bethnay par bhi terhan terhan ke mun banata rehta hon jo
dekhnay mein bohat bura maloom hota hai. Har waqt aik intzaar ki kefiyat mein
rehta hon. Jaisay koi achi baat wuqoo Pazeer honay wali ho. Aik anjaana khauf
bhi taari rehta hai ke mulazmat chaatt jaye gi. Mere bachon ka kya ho ga. Gharz
ke har terhan se pareshan rehta hon aap ko Allah taala is ka ajar day. Aap mujhe
kuch aisa bta dijiye ke meri ( khud par taari ki hui ) pareshaaniya daur ho
jayen aur mein Allah par bharosa kar ke duniya ka saamna bahaduri se kar sakun aur
yeh ehsas kamtarri, mun banana, mun ka bhinch lena sab khatam ho jaye.
Jawab : subah saweray kisi
darakht ke tanay se take laga kar kharray ho jayen. Is terhan ke poori reerh ki
haddi darakht ke tanay se miss hoti rahay. Is waqt nangay paiir rahen aur
nazrain seedhay paiir ke angothay par rahen. Das minute taq isi terhan kharray
rahen aur phir apne aur kamon mein mashgool ho jayen. Aik dafaa jis darakht ka
intikhab kar len. Chalees din taq isi ko istemaal karen.