Spiritual Healing

Joron Ka Dard

Sawal   : mein guzashta chaar saal se bemaar hon. Bachay ki paidaiesh ke baad reerh ki haddi ke oopri hissa mein dard shuru hua aur phir jhatkay se lagnay lagey. Kaafi ilaaj ke baad yeh jhatkay to khatam ho gay lekin reerh ki haddi mein dard dobarah shuru ho gaya. Yeh dard barh kar shaanon aur unglio ke joron mein bhi honay laga hai. Gardan ke pathon mein tanao aur jabron mein aksar khichao rehta hai. Har waqt halki neend musallat rehti hai jaisay koi nasha aawar cheez kha li ho. Ziyada der baithy rehne se gardan katti hui mehsoos hoti hai. Ilaaj mualjay par aik kaseer raqam sirf kar chuki hon aur ab halaat mazeed ilaaj ki ijazat nahi dete.


Jawab  : sirf aik kaam kijiyej woh yeh ke aindah thanda pani piinaa bilkul band kar dijiye. Jab bhi pani pyin name garam pyin. Kalie Shifa ke liye sirf yahi ilaaj kaafi hai. Ziyada se ziyada aik haftay mein afaqa shuru ho jaye ga aur Insha Allah 2 mah mein takaleef se nijaat mil jaye gi phir bhi yeh ilaaj ( parhaiz ) aik saal taq jari rkhye.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI