Spiritual Healing
Sawal : fahash litriachr parh kar
mein ne khud ko barbaad kar diya hai. Kayi baras se apne aap ko zaya kar raha
hon aur nuqsanaat se aagah honay ke bawajood is qabeeh aadat ko tark karne se
aajiz hon. Is aadat ke nateeja mein mera wazan qad ki nisbat bohat kam hai. Chehra
zard aur khushk hai. Aankhon ke gird gehray halqay par gay hain. Uthte baithtay
sir chakrata hai aur aankhon taley andhera chhaa jata hai. Lillah koi aisa
tareeqa bta den ke mein is qabeeh aadat se nijaat haasil kar lon. Aap ka mere
oopar bohat bara ahsaan ho ga.
Jawab : har waqt bawazo rahen
lekin bawazo rehne ke liye apne oopar jabar nah karen kyunkay fitrat amal ( bol
braaz aur reah ) roknay se aadmi bemaar ho jata hai. Aur is ka dil o dimagh par
bohat bura assar parta hai. Jab wuzu saqt ho jaye, dobarah wuzu kar len. Chaltay
phirtay, uthte baithtay ya Hafeez ka vird karen. Khaano mein aitdaal ko mad e
nazar rakhen. Aisi ghizayein nah khayen jo jazbaat mein hejaan peda karti hain
aur maida ke oopar baar banti hain.