Spiritual Healing

Iqtidaar Ki Jung

Sawal   : mein zindagi se bohat mayoos hota ja raha hon. Mein ne bohat koshish ki apne aap ko sudharnay ki lekin nakaam raha. Doston ki ghalat sohbat ne ghalat raah par daal diya. Shuru shuru mein to bohat lutaf aaya lekin ab haal bohat kharab hai. Nazar din badan kamzor hoti ja rahi hai. Yad dasht kamzor ho gayi hai. Qowat iraadi bilkul khatam sahet to kher khatam ho gayi hai. Dekhnay walay dekh dekh kar heran hotay hain. Yeh sab kuch mein ne aap ko mufasil tor per likh diya hai. Ab aap ki marzi hai ke mere liye kuch tajweez karen ya saza ke tor par aisay hi chore den. Mohtaram! Agar meri tarbiyat sahih hui hoti to mera yeh hashar hargiz nah hota kyunkay mujhe aur mere jaisay hazaron log jin mein mere dost bhi hain. Jinhein yeh bhi nahi maloom ke namaz esha mein kitni rak-at hoti hain. Is ke bar aks kon kon si nai filme ayen hain aur kon si is mah anay wali hain. Yeh tamam baatein aam maloomat ki terhan maloom rehti hain. Darasal mein kehna chaah raha hon ke agar walidain apne bachon ko shuru se tamam baatein bitayen, inhen achay buray ki tameez skhayin to hum jaisay log yun be raah rawi ikhtiyar nah karen. Hamaray yahan to yeh hota hai ke jab bacha taqreeban mah daidh mah ka hota hai to maa usay ayaaon par chore deti hain aur khud function aur partiyan attend karti hain. Ya walidain mein har waqt larai aur nafrat bachon ke zehan ko maflooj kar deti hai. Bachay zehan ko masroof rakhnay ke liye ya to doston mein baithtay hain ya filme dekhte hain. Walidain ko itni bhi fursat nahi hoti ke woh yahi dekh len ke hamaray bachon ki masrofiyat kya hain. Maa baap ko moorad ilzaam th_hrati hai aur baap ko maa mein koi khoobi nazar nahi aati. Is terhan bacha bara ho jata hai.
Agay aap khud samajh len ke kya haal hota ho ga.


Jawab  : mein pehlay bhi kayi martaba likh chuka hon ke walidain ki larai jhagrre aur aapas ki takraar se ghar jahannum ban jata hai. Bachon ke andar se Khushgawar zindagi guzaarne ka yaqeen toot jata hai. Bachay sehmay rehtay hain aur kachay zehan, kaj rawi ka shikaar ho jatay hain magar haal yeh hai ke koi ghar aisa nazar nahi aata jahan shohar aur biwi mein Iqtidaar ki jung nah ho. Aap aisa karen ke har namaz ke baad 300 baar ya Shafi ya kaafi parh kar apne oopar dam kar liya karen aur esha ke baad pandrah minute taq sabz roshni ka muraqba karen.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI