Spiritual Healing

Ehsas Kamtri

Sawal   : mein ehsas kamtri ka mareez hon. Mujh mein khud itmadi bilkul nahi hai. Chalta hon to aisa mehsoos hota hai ke meri chaal bohat kharab hai...... Log mujhey dekh kar Meera mazaq uratay hain. Kisi se baat karta hon to dil mein yahi khayaal rehta hai ke mujh se bara hai. Mein college mein science ka taalib ilm hon class mein sir mujh se koi Sawal   karte hain ya haazri ke liye rule number puchte hain to mein bohat ziyada ghabra jata hon, zabaan luknat aa jati hai. Halaq se aawaz nahi nikalti. Azeemi Sahib! Class mein kharray ho kar Jawab  dainay ke tasawwur se hi meri rooh fanaa ho jati hai. Mein ghar se bhi bohat kam bahar nikalta hon. Har waqt mayoos aur afsurdah rehta hon.


Jawab  : ehsas kamtri aur nervous knees ke liye surkh rang bohat mufeed hai. Neez naranji rang bhi jis se dil ki pareshani daur ho kar sukoon milta hai, istemaal kya jata hai. Aik choti si tokri mein narangiyan bhar kar kamray mein rakh li jayen aur rozana narangiyon par chand minute nigah ko markooz rakha jaye. Is ke sath subah saweray uthte hi aik barray aaiine ke samnay tan kar kharray ho kar apne saraapaa par tik tiki bandh kar dekhen aur do teen minute taq aahista aahista dil mein yeh alfaaz dohraiye har cheez dilfaraib aur Khushgawar hai' mein kisi se kamtar nahi hon jo chahoon woh kar sakta hon. “yeh amal karne ke baad chand minute taq kamray mein chehal qadmi karen aur phir aaiine ke samnay kharray ho kar wohi amal dohrayen. Is terhan yeh amal rozana teen dafaa kya jaye. Ilaaj ki muddat aik kam chalees roz hai.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI