Spiritual Healing

Dastakhat Kijiyej Aur Masla Hal

Sawal   : bachpan aur jawani ke ibtidayi daur mein mujhe har qisam ki Rohani musarrat haasil thi. Lekin pichlle chaar paanch saloon se mein sakht zehni kashmakash mein mubtala hon. Mujhe yeh rog khaye ja raha hai ke taleemi maidan mein mujhe woh darakhshan kamiyabiyan haasil nahi huien jo guzashta daur mein mera khaasa theen. Mujhe yeh bhi ilm hai ke meri zehni nashonuma mein koi farq nahi aaya kyunkay meri maloomat aama herat angaiz tor par barh chuki hai. Taleemi lehaaz se ost kamyabion ne mujhe zehni mareez bana diya hai. Nateejatan mojooda daur ki mamooli si na insafi bhi bardasht nahi kar sakta.


Jawab  : raat ko sonay se pehlay aadh ghanta taq mukhtalif zawiyon se apne dastakhat kijiyej. Ziyada se ziyada chalees roz mein masla hal ho jaye ga.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI