Spiritual Healing
Sawal : meri walida arsa paanch
saal se sakht bemaar hain har barray dr aur hakeem se ilaaj karaya lekin koi
faida nahi sun-hwa. Bohat mehngi mehngi duwaein khayen lekin nateeja sifar
raha. Walida ki pasliyon, seedhi taang aur tangon ke joor mein dard rehta hai. Mukhtalif
doctoron ne mukhtalif bemariyan batlaein hain kisi ne jigar par waram, kisi ne
gurdon mein pathri, kisi ne hadion mein waram kisi ne haddiyan bherne ka
khadsha bataya hai, kisi ne kaha ke pishaab mein peep aati hai. X-ray kurwaye
bohat paisa kharch hua lekin ab bhi wohi haalat hai. Sotay hue karvat nahi le
sakteen. Das minute ka rasta adhay ghantay mein tey karti hain. Bhook nahi
lagti, rukhsaar aur hont siyah par gay hain. Amel kehte hain ke kisi ne jaadoo
karaya hai.
Jawab : butter paper ke chhootey
chhootey chokor kaaghzon par بسم اللہ الرحمٰن
الرحیم ( surah yaseen ki aakhri aayat se pehli
aayat )
اِنَّمآ
اَمْرُہ اِنَآ اَرَادَ شَیْأٍء اَنْ یَقُوْلُ لَہٗ کُنْ فَیَکُوْنُo
piyali pani mein bigho den. Kuch der ke baad kaghaz dho kar subah
nehar mun aur isi terhan shaam ko raat ko dho kar pila den. Raat ko walida jab
gehri neend so jayen un ke sarahnay khari ho kar aik baar surah falaq poori
surah parh diya karen. Itni aawaz se ke neend kharab nah ho. Ilaaj ki muddat
chalees roz hai.