Spiritual Healing

Chipkali Ka Khauf

Sawal   : Allah taala aap ke ilm mein barket ataa farmaiye, ameeen. Aik masla paish khidmat hai. Yun to bohat mamooli magar mere liye masla sangeen hai. Mujhe chipkali se bohat dar lagta hai. Jab kabhi chipkali par nazar padtee hai to saans rukta hua mehsoos hota hai. Jis jagah chipkali ho idhar se guzarna mere liye namumkin ho jata hai. Garmi ke dinon mein aksar ghar mein nazar anay lagti hai. Agar kisi waqt raat ko kamray mein aa jaye to poori raat aankhon mein kat jati hai. Agar bawarchi khanaay ya ghusal khanaay mein aa jaye to ghanton idhar ka rukh nahi kar sakti. Zehan par khauf musallat rehta hai ke kahin chipkali nazar nah aa jaye.


Jawab  : matti ki kori katori ( jis mein firni khayi jati hai ) le kar is mein pani bhar kar do chamchay arq ghulaab daal den aur teen martaba
یَاحَیِّیُ قَبْلَ کُلِّ شَئیٍ یَا حَییُّ بَعْدَ کُلِّ شَئیٍ parh kar dam karen aur nehar mun pi liya karen. Adhay ghanta taq koi cheez nah khayen aur nah pyin. Das hafton taq namak nah honay ke barabar istemaal karen.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI