Spiritual Healing

Chehray Par Chaiyan

Sawal   : meri Umar pachees saal hai aur ghair shadi shuda hon. Teen chaar saal pehlay mera rang bohat surkh aur safaid tha. Chehray par koi daagh aur dhabba nahi tha lekin ab mera rang kharab ho gaya hai. Chehray par kaafi daagh aur dhabbay ho gay hain. Naak aur kaanon par jhaiyan par gayi hain. Vitamin ki golian istemaal karoon to jhaiyan saaf ho jati hain aur chore dun to phir par jati hain. Chehray par kalay aur bhooray rang ke tall bhi hain. Jo kabhi kam aur kabhi ziyada ho jatay hain.


Jawab  : rozana maithi ka saag pakka kar dono waqt khaano ke sath khayen. Yeh zurori nahi hai ke sirf maithi ka saag hi khaya jaye. Parhaiz kisi cheez ka nahi hai sab kuch khayen lekin dastarkhawan par maithi ke saag ki dish zaroor ho. Raat ko sotay waqt do injeer doodh mein pakka kar injeer kha kar oopar se doodh pi liya karen. Injeer khanay ke baad koi cheez nah khayen. Jab taq chehra poori terhan saaf nah ho jaye yeh amal jari rakhen.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI