Spiritual Healing

Buzdali Ki Tasweer

jis buzdali ki hadd taq sulah jo waqay hua hon agar kahin 2 afraad behas o takraar, talkh kalami ya haath payi kar rahay hon to mera dil zor zor se dharakna shuru ho jata hai aur agar yahi baat mere sath paish aa rahi ho to bas mat puchiye kya haal hota hai. Meri zindagi ke is afsos naak pehlu ki intahaa yeh hai ke mein buzdali ki tasweer ban jata hon. Mera mad-muqabil mujhe sir aam bura bhala kehta hai. Dhmkyan hatta ke gaaliyan day jata hai magar mein Jawab i karwai ki bajaye chup chaap khara rehta hon aur agar koshish kar ke Jawab  deta bhi hon to aisa ke jo mad-muqabil ko nagawaar nah guzray aur mere sakht Jawab  ki wajah se meri pataayi nah ho jaye bas isi pataayi se khaufzadah rehta hon. Behas o takraar mein bhi mera rawayya intahi mdafaanh hota hai itna ziyada mdafaanh ke suneney walay is baat ko foran bhaanp letay hain aur phir is ke baad un ki nazron mein mere liye tamaskhur ke siwa kuch nahi hota. Mera masla aur soorat e haal dono hi mazhaka khaiz hain magar is ke bawajood hal talab hain aur mein be bas hon. Aaj ki is be izzati ke baad mein ne apne dil mein ehad kya hai ke mein apni is kamzoree par zaroor qaboo paon ga aur is buzdali ko khatam kar ke rahon ga.


Jawab  : masla ka hal aap ke is khat mein mojood hai.”mein ne ehad kar liya hai ke apni is kamzoree par zaroor qaboo paon ga. “is ehad par qaim rahen. Masla yaqeenan hal ho jaye ga. Rozana werzish ka ihtimaam bhi kijiyej.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI