Spiritual Healing
Sawal : Poooray saal naak se pani
behta hai aur cheenkain aati rehti hain. Yeh subah ke waqt shuru hoti hain aur
zawaal ke waqt taq taqreeban so daidh so cheenkain aa jati hain. Sooraj dhalnay
ke sath sath yeh cheenkain khatam ho jati hain. Har waqt jism tapta rehta hai. Uthte
baithtay larkhara jata hon. Aankhon ke samnay aksar o beshtar andheray ka aik
parda aa jata hai. Dimagh sun rehta hai. Maloom hota hai ke jism khokhala hai. Khud
ko hua mein urta hua mehsoos karta hon. Gardan ke pathon aur kamar mein shadeed
jalan aur dard rehta hai. Hafza Jawab day gaya hai aur sir ke baal taizi se jhar
rahay hain.
Jawab : Das sair kalay chuney le
kar ghar mein saaf kar ke Piswa len. Subah, dopehar, shaam khanay se pehlay is
aattay ki aik rootti pkwa kar kha liya karen. Khanay se pehlay rootti par
makhan chprh liya karen. Makhan khalis hona chahiye. Das sair chnon ka aatta
aap ke marz ka mukammal ilaaj hai.