Spiritual Healing

Terha Moonh



Sawal   : Aap ne Rohani daak ke zariye bohat se mayoos logon ki madad farmai hai, umeed hai ke aap mera bhi masla hal farmaen ge. Samajh mein nahi aata ke kis terhan bayan karoon ke mujhe apne is aib ki wajah se kis qader mazaq ka nishana ban-na parta hai aur mein ehsas kamtri mein mubtala rehti hon. Pata nahi aap meri madad karen ge ya nahi. Mera baen taraf wala hont baat karte waqt ya hanstay waqt terha sa ho jata hai ya thora sa khham aa jata hai. Jabkay baen taraf walay jabray mein aksar o beshtar dard rehta hai. Aur baaz auqaat itna shadeed dard hota hai ke ronay lag jati hon. Khamosh baithi rahon to nuqs ka pata nahi chalta.

Jawab  : Binola ka khalis tail, subah nashtay ke waqt aur raat ko baasi rootti ke oopar chprh kar kha len. Aik rootti ke oopar binola ka tail chprh lena kaafi hai. Baqi khoraak hasb dastoor istemaal karen. Ilaaj ki muddat do mah hai. Allah taala apna fazl farmaen ge

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI