Topics
Roye zameen par pehla qatal mard ne kiya.
Qissa yun hai :
Aadam o hawa ke do betay Habil aur Qabeel thay. Habil bhair bakrion
ka charwaha tha aur qabeel kisaan tha. Aik din Habil ne nazar dainay ke liye
bheer bakrion ke bahelotee ke bachay Allah ke liye waqf kiye aur qabeel ne bhi
apne khait ke phal Allah ke liye haazir kiye.
Is zamane mein dastoor tha ke qurbani ke janwar aur nazar o niaz ka
samaan maidan mein jama kar diya jata tha aur janwar ko zibah kar ke rakh dete
thay.
Sammaan se aik shola aata tha aur usay jala deta tha. Yeh amal
Allah pak ki janib se qurbani qubool honay ki alamat thi.
Habil ne jab apni bheer bakrion mein se qurbani ki to isi waqt
aasman se aag aayi aur is ki qurbani ko sokhta kar gayi magar qabeel ka hadia
Allah Taala ne qubool nahi kya aur is ki
nazar ko aag ke sholay ne nahi jalaya. Is par qabeel ke dil mein apne bhai
habil ki taraf se hasad aur dushmani ki aag bharak uthi aur is ne mauqa pa kar
usay qatal kar diya.
Qabeel pareshan tha ke is laash ko kis terhan thikaane lagaya jaye.
Is ke andar sochnay samajhney ki salahiyat khatam ho gayi thi. Woh heran o
pareshan betha tha ke aik kuaa aaya, kaway ne chon mein koi cheez pakri hui
thi. Kaway ne woh cheez zameen par rakhi aur apne panjoo se zameen ko khodnay
laga. Qabeel barray ghoor se yeh sab dekh raha tha. Kaway ne zameen khoud kar
is cheez ko garhay mein rakha aur panjoo se matti bhar di. Yeh dekh kar qabeel
ronay laga.
Is ne kaha.
'' Ae mere parvar-digaar! Be shak mein kaway se bhi gaya guzra
hon.' '
Aur phir is ne kaway se murda jism dafan karne ka tareeqa seekh kar
apne bhai ko dafna diya.
Qabeel ne jab apne bhai habil ko na-haq qatal kya to woh fitrat se
daur ho gaya aur is ki aqal sochnay samajhney se aari ho gayi. Is ne kaway ki
aqal ka itebaa kya yani qabeel ka shaoor aik kaway ke shaoor se bhi ziyada
kamzor hai aur qabeel asfal al safileen mein gir gaya.
Qabeel pehla mard hai jis ne aik kaway ki aqal ka sahara liya.
Qabeel pehla mard hai jis ne zameen par pehla qatal kya.