Topics

Qalandar Aurat

Senkron saal ki tareekh mein mashhoor o maroof aulia Allah ki fehrist par nazar daali jaye to sirf aik aurat ki nishandahi hoti hai aur usay bhi aadha qalandar keh kar is ki be hurmati ki gayi hai. Mard kisi ilm mein ph.D karta hai. Aurat bhi ph.D karti hai kya hum aurat ko aadha dr kehte hain. Aik aurat jahaaz urati hai kya hum usay aadha pilot kahin ge? Jis terhan mard qalandri sifaat ka haamil hai isi terhan jab aurat mein qalandri sifaat mutharrak ho jati hain to woh bhi poori qalandar hai.

Sawal yeh hai ke kya rohani tor par aurat ki takhsees ki ja sakti hai? Kya rooh kamzor aur haqeer hoti hai? Agar aisa nahi hai to aurat ke rohani muratib ko hum nazar andaaz nahi kar satke.

Sawal : khawateen poochti hain ke tareekh mein aulia Allah mardon ki terhan un aurton ka tazkara kyun nahi kya gaya jo Allah ki dost hain jabkay jo sifaat quran mein mardon ke liye bayan hui hain wohi sifaat aurton ke liye bayan hui hain. Agar quran kareem ke nazdeek aurat ka maqam mard se kam tar hota aur is ki buzurgi aur azmat mard ke masawi nah hoti to quran pak mein' ' Surah Maryam' ' Hazrat Maryam ke bajaye Hazrat Eesa(a.s) Se mansoob hoti. Surah al-nisaa ka naam' ' surah al-nisaa' ' hona khud aurat ki fazeelat hai.

Yeh kaisay kaha ja sakta hai ke dunyawi mamlaat mein aurat mard ke barabar ho lekin rohani salahiyaton aur marwai aloom mein woh mardon se kamtar ho. Haqeeqat yeh hai ke tareekh ney aurat ke muamlay mein bukhal se kaam liya hai aur is ki wajah yeh hai ke maadri nizaam khatam honay ke baad' ' qalam' ' par mard hazraat ki ajarah daari qaim ho gayi thi.

Lakhoon saal ki tareekh mein koi aik fard is baat se inkaar nahi kar sakta ke aurat aik maa hai jo no mah aur do saal taq apna khoon jigar bachay ke andar hi andar rehti hai. Yeh bad naseebi aur nashukri hai ke hum is ko tafreeh ko zareya qarar den. Be rooh muashray ney aurat ko mard ke muqablay mein aisa kirdaar bana diya hai jis ko dekh kar gardan nedamat se jhuk jati hai.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI