Topics
Aurat aur mard dono Allah ki takhleeq hain magar hazaron saal se
zameen par aurat ke bajaye mardon ki hakmiyat hai. Aurat ko sanf naazuk kaha
jata hai. Sanf naazuk ka yeh matlab samjha jata hai ke aurat woh kaam nahi kar
sakti jo kaam mard kar laita hai. Aurat ko naaqis al-aqal bhi kaha gaya hai. So
saal pehlay ilm o fun mein bhi aurat ka shumaar kam tha. Rohaniyat mein bhi
aurat ko woh darja nahi diya gaya jis ki woh mustahiq hai. Ghair janabdaar
zawiye se mard aur aurat ka farq aik moamma bana hua hai.
Quran pak mein tafakar hamaray oopar yeh haqayiq munkashif karta
hai ke mard aur aurtain dono takhleeqi raaz o niaz hain. Dono mein salahiyaten
mojood hain agar mard kisi salahiyat mein aurat se qadray ziyada hai to
bil-muqabil mard bhi kayi salahiyaton mein aurton se kam hai. Ilm se aarasta
har fard jaanta hai ke zamana kabhi aik rukh par qaim nahi rehta. Is mein
tagayur o tabdal hota rehta hai.
Tareekh har das hazaar saal baad khud ko dohrati hai. Jahan pani
hai wahan zameen zahir ho jati hai, jahan zameen hai wahan pani mazhar ban jata
hai. Matlab yeh hai ke samandar khushk zameen mein tabdeel ho jatay hain aur
khushk zameen samandar mein tabdeel ho jati hai. Is terhan purana system khatam
ho jata hai aur naya muashra wujood mein aata rehta hai. Ikeeswen sadi mein jis
terhan tabdeelian runuma ho rahi hain is ke mutabiq ab muashray par aurat ki
hukmarani qaim ho jaye gi.
Hum apna farz samajte hain ke aurat ko is ke asal maqam se bakhabar
kar den taa ke aurat jab muashray par hukmaran ban jaye to zameen par fasaad
aur dareaye khoon o halakat se mehfooz o mamoon rahay.