Topics
Likhte hue nedamat hoti hai ke hamaray danishwaron ney angrezi
parhna mardon ke liye bhi najaaiz qarar diya tha. Larkiyan to be charee aur be
zabaan theen.
612 mein hindostan' ' jannat nishaan' ' mein tabqa naswa ki mzlomit
hadd se guzar chuki thi. Aurton aur janwaron mein koi farq nahi kya jata tha.
Aurton ke haqooq nahi they. Hindu mazhab ki ro se aurat ko mazhabi taleem dena
aik na qabil maffi jurm tha. Mashhoor mazhabi peshwa' ' manohji' ' ka qoul hai
ke :
'' Aurat hargiz qabil aitbaar nahi. Bachpan mein is ke baap ko
chahiye ke is ki nigrani kere, jawan mein shohar ka farz hai ke har waqt is ki
hifazat kere.