Topics
Allah aur insaan ke darmiyan quran ne guftagu ke teen wazeh
tareeqay betaye hain.
Tarjuma :' ' kisi bashar ki yeh qudrat nahi hai ke Allah is se
rubaroo baat kere is ki baat ya to wahi ke tor par hoti hai ya parday ke
peechay se ya phir koi peghaambar bhejta hai aur pegham deta hai Allah jo
chahta hai.' ' ( surah shoora : 51 )
Haasil kalaam yeh hua ke wahi is tareeqay ko kehte jis mein pegham
bhejnay walay aur jisay pegham bheja ja raha hai un dono ke darmiyan raaz ho
aur is pegham rasani ke tareeqay se dosra koi waaqif nah ho.
Wahi ki kasmain
Wahi ka nuzool do terhan hota hai.
(1) jali (2 ) khafi
Yeh tareeqa un anbia se mutaliq hai jo nabi aur Rasool hue hain.
Allah jab apne kisi khaas bande ko hukum deta hai to usay wahi khfi
kehte hain. Allah Taala ilham ya alqa
karta hai ya khawab mein usay hadaayat di jati hai. Jis terhan Hazrat
ibrahim(a.s) Ne khawab mein dekha ke woh apne betay Hazrat asmayl(a.s) Ko zibah
kar rahay hain aur jis terhan Rasool (s.a.w)
ke dada Hazrat Abdul Mutlib ko khawab
mein zam zam ka nishaan bataya gaya aur phir un ka alqa aur ilham hota raha.
Hazrat Abdul Mutlib nabi nahi thay.