Topics

Tawazun

Insani baradri ke liye umooman aur bilkhushoos aurat ke haq mein Rasool  (s.a.w)  ne mard aur aurat ke haqooq mein aisa tawazun peda kar diya hai ke kisi aik ka haq kisi dosray par ghalib nahi aata. Rasool  (s.a.w)  ne aurat ki izzat ko bahaal kya. Is ke waqar ko ujagar kya. Aap (s.a.w) ne mardon ko un umoor se mana farmaya jo aurton ke haq mein zulm o zayad-ti ke mutradif thay. Aap (s.a.w) ali al-elaan mardon ke muqablay mein aurton ko un mara-aat se nawaazte thay jin ki woh mustahiq hain. Aap (s.a.w) amli tor par aurton ki izzat farmatay thay. Sab se pehlay Aap (s.a.w) ne maa ke rishte se aurat ko muta-arif karaya. Aap (s.a.w) ne farmaya :

*' ' tumhari jannat tumhari maa ke qadmon ke neechay hai.' '

*' ' maa ki nafarmani par jannat haraam kar di gayi hai.' '

*' ' woh shakhs bara budqismat hai jis ki maa zindah ho aur woh is ki khidmat nah kar ke jannat se mahroom ho jaye.' '

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI