Topics

Islam Se Pehlay Aurat Ki Hesiyat

Yahodi muashray mein aurat ko gunah ka mujasma qarar diya jata tha. Esaion ne aurat ko aadam ke gunah ka sabab qarar diya. Un ke khayaal mein is ke baad nasal insani mein gunah gaar peda hotay rahay. Isaai rahibon ne aurat ko dagha fraib, masaaib aur alaam ka sabab qarar diya. Aurat ko shaitaniyat  ka darwaaza aur buraiyon ki jarr kaha. Roomi apni biwi ko qatal kar satke thay. Arab aurat ko zillat ka sabab grdante thay.

Woh afradi qowat mein izafay ke liye aulaad narina chahtay thay. Agar larki peda hoti to zindah dafan kar dete thay aur bachi ki maa ehtijaj bhi nahi kar sakti thi. Zindah rehne wali larkiyon se baaligh honay tak khidmat letay thay aur jawan honay ke baad un ko farokht kar dete thay.

Jis ghar mein larki peda hoti usay manhoos samjha jata tha.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI