Topics

UMM MOHAMMAD ZAINAB (R.A)

Umm Zainab mahdza aur sufia theen.' ' al hajah ' ke laqab se mashhoor theen. Khidmat khalq ka bohat shughaf tha. Yatimon aur msakin ki diljoi karna mehboob mashgala tha. Fayaz theen. Bohat se falahi idaray qaim kiye. Un idaron mein behtareen intizam tha. Khawateen un ke paas masail le kar aati theen. Dam, duroood wazaif se khawateen ko faiz pohanchati theen.

Aik dafaa aik aurat roti hui aap ke paas aayi. Aap ne ronay ka sabab poocha. Is ne kaha mera bacha gum ho gaya hai. Aap ne farmaya !

Sabr se kaam lo. Bacha aa jaye ga. Kuch arsay baad woh phir aayi aur kaha. Bibi bacha abhi tak nahi mila. Aap ne farmaya :

'' Sabro karo, Allah karam kere ga.' '

Aurat ne rotay hue kaha :

'' Ab mujh se sabr nahi hota. Mein majboor ho gayi hon.' '

Yeh sun kar aap ne ankhen band kar len. Thori der baad farmaya :

'' Ghar chali ja. Bacha tera intzaar kar raha hai. Aurat bhagee bhagee ghar pohanchi to beta maa ko dekh kar is se lapat gaya.

Hikmat O Danayee

* istaqna  zabani kalami haasil nahi hota. Yeh tajribati aur mashhadati amal hai.

* har insaan ke andar Allah basta hai. Allah Taala  kehte hain. Mein tumahray andar hon tum mujhe dekhte kyun nahi.

* insaan aik qmqme ki terhan hai. Allah ka noor is ki roshni aur current hai.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI