Topics

Rohani Aurat !:

Har zamane mein yeh baat behas talabb rahi hai ke :

1. Aurat mein rohani salahiyat mojood nahi hai ya mard ke muqablay mein kam hai.

2. Aurat mein rohani aur ilhaami marhalon se guzarnay aur un ko samajhney ki sakt nahi hoti.

3. Aurat rohani tor par mard se kamzor hai.

4. Aurat asmano mein parwaaz nahi kar sakti.

Sawal yeh hai ke :

Aurat kyun asmano mein parwaaz nahi kar sakti? Jab ke aurat aur mard ki rooh aik hai. Khawateen o mard hazraat ke ehsasat aur jazbaat aik jaisay hain. Jismani aur rohani salahiyaten kam o besh aik jaisi hain. Dil, dimagh aik terhan ke hain. Naak, kaan, aankh aur jismani aaza mein mamaslat payi jati hai. Mard aur aurat ke aamaal yaksaa qarar diye gaye hain. Quran hakeem mein wazahat hai ke marnay ke baad ajzaa yani qurb ellahi ka husool sirf jins par munhasir nahi hai balkay is ka inhisaar imaan o aiqan par hai. Mard ho ya aurat usay hi qurb ellahi haasil hota hai jis mein imaan aur aiqan ho.

'' Tum mein se jo parhaiz gaar tar hai. Allah ke nazdeek muaziz tar hai.' '

'' Mard ho ya aurat woh sahib imaan bhi ho to aisay log ( mard o aurat ) jannat mein daakhil kiye jayen ge.' '

( surah alnisaa : 166)

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI