Topics

Naaqis Al-Aqal

Aurat ko naaqis al-aqal bhi kaha jata hai. Aqal ke bunyadi haqayiq samnay rakh kar guftagu ki jaye to yeh baat samnay aati hai ke mard bhi naaqis al-aqal hota hai. Saaray hi mard aqil aur danishwer nahi hotay.

'' Aqal' ' ensaan ko hewan par foqiat deti hai. Jab taleem itni aam nahi thi jitni aaj hai to is waqt aqal ka miyaar yeh tha ke ziyada umar ke aadmi se mahswara liya jata tha. Barri umar ki wajah se woh ziyada hooshiyar aur tajurbah car hota tha.

Aik tabqa ka khayaal hai ke mardon ney aurton ke oopar pabandiyan laga kar usay ilm aur tajarbay se mahroom rakhnay ki koshish ki hai jis mein woh bohat hadd taq kamyaab raha hai.

Taqseem hind se qabal aurat ki taleem ko achi nazar se nahi dekha ja taa tha. Larkiyon ki taleem mein mard Hazraat Muzahmat karte they. Mafrooza yeh tha ke larkiyan parh likh kar ishqia khutoot likhain gi jab ke yeh baat kisi terhan bhi qabil qubool nahi hai.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI