Topics

UMM MAAZ (R.A)

Umm maaz ziyada tar gosha nasheen rehti theen. Hajhoom mein ghbrati theen. Allah Taala  ki mohabbat mein deewano jaissa haal tha. Aik roz koi buzurag un se milnay aeye. Un ki haalat dekh kar poocha :

'' Tujhy kis shye ne deewana bana diya hai ?' '

Aap ne kaha :

'' Allah se milnay ke shoq ne mujhe tadpaya hua hai.' '

Buzurag ne poocha :

'' Kya fawad aur qalb judda judda hain ?' '

Ke :' ' qalb mohabbat karta hai aur fawad mushtaq hota hai.' '

Buzurag ne poocha :

'' Haq ka waqoof kya hai ?' '

Umm maaz ne farmaya :

'' Haq ko panay ke liye be kaif hona zurori hai.' '

Buzurag ne poocha :

'' Haq ko panay mein sadiq hona kya shye hai ?' '

Yeh sun kar ankhen band kar len aur muskura kar farmaya :

'' Sadiq aur sachey log is terhan chalay jatay hain.' '

Hila jala kar dekha to jism se rooh parwaaz kar chuki thi.

Hikmat O Danayee

* qalb mohabbat karta hai aur fawad mushtaq hota hai.

* haq ko panay ke liye be kaif hona zurori hai.

* sadiq aur sachey logon par nazaa ka aalam taari nahi hota woh khusi khusi chalay jatay hain.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI