Topics

FATIMA BINT-E ABDUL RAHMAN (R.A)

Fatima Bint Abdul Rahman ki kuniat Umm Mohammad hai. Hamesha sof pehanti theen. Saath (40) saal tak musalley par soyen. Beeet almuqaddas ke liye azim safar huien to rastay mein aik buzurag mil gaye. Aap se poocha ke kya aap bhi rasta bhool gayi hain ?

Fatima ne kaha :'' Allah ko pehchanney wala kabhi rasta nahi bhoolta.' '

Buzurag ne kaha ke mein waqai rasta bhool gaya hon.

Hazrat Fatima ne kaha :'' Allah ko pehchanney wala kionkar musafir ho sakta hai. Meri laathi pakar kar agay agay chalo.' '

Buzurag ne laathi pakar kar agay agay chalna shuru kar diya. Abhi baa-mushkil saat aath qadam chalay hunge ke Fatima Bint Abdul Rahman ne kaha :

'' Samnay dekho.' '

Buzurag ne samnay dekha to masjid aqsa ke minaar nazar aa rahay thay.

Buzurag ne herat ke sath sawal kya :

'' Hum itni jaldi beet almuqaddas kaisay pahonch gaye? Hum jis jagah se chalay thay wahan se beeet almuqaddas kayi hafton ke faaslay par hai.' '

Fatima ne jawab diya.

'' Zahid chalta hai. Arif urta hai.' '

Hikmat O Danayee

* zahid peeron se chalta hai aur arif urta hai.

* urrnay mein hafton ka faasla ghanton mein tay ho jata hai.

* Allah ka arif rasta nahi bhoolta.

* rooh se waaqif bandah ke liye faaslay simat jatay hain.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI