Topics

Chaar Nikah

Umm al-momineen Hazrat Aisha bayan karti hain. Jahliat ke daur mein nikah ki chaar soorten theen.

* aik tareeqa to yahi tha jo aaj kal raaij hai..

* dosra tareeqa nikah' ' istabath’a' tha. Yeh nikah is liye karte they ke' ' najeeb larka' ' peda ho. Is mein shohar apni mankoha se kehta tha ke haiz ke baad to falan mard ke paas chali ja aur itni muddat shohar apni biwi se alehda rehta tha. Hamal zahir ho jaane ke baad shohar apni biwi ke qareeb jata tha.

* nikah ki teesri shakal yeh thi ke aurat se kam se kam das adad mard lutaf andoz hotay they. Jab hamal zahir hota aur bacha ko peda hue kuch din guzar jatay they to qasid ke zareya aurat un tamam mardon ko bulati thi jab sab jama ho jatay to aurat elaan karti ke yeh bacha falan shakhs ka hai. Ab tum apni pasand se is ka naam rakho.

* kuch aurton ke darwazon par jhnde lagey rehtay they. Jab un ke yahan bacha peda hota to qiyafah shanaas ko bulaya jata tha. Aur woh apne qiyafah se kisi aik mard ki nishandahi karta tha aur mard is se inkaar nahi kar sakta tha.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI